मिटटी की खुशबु || mud smells
Doston mitti ki khushabu se mera tatparya Garmiyon ke baad shuru hone wali pahali barish se he
Barish ke session ki pahali barish ki bunde jese hi dharati par girati he tab mitti se ek alag hi tarah ki smell aati he
Us saundhi saundhi mitti ki khushabu badi hi manmohak pratit hoti he
Jese hi dharati mata ke aanchal pe barish ki bunde ritu aagman par tab mitti aur pani ke sanyog se ek anokhi smell nirmit hoti he jo bahut hi achchi lagati he
Mitti ki khushabu |

Mitti ki khushabu kab aati he ?
Grishm ritu ke ant hote aur varsha ritu ke prarambh hone par pahali pahali barish hone par jab paani dharati par girata he aur dharati se adbhud mahak aati he ye shuru shuru me hi aati he aur man ko badi bhati he
Mitti ki khushabu aane ke piche ek karan mitti aur pani ka chemical reaction bhi he jisame mitti ke kano and pani ke milane se jo odour produce hoti he vo mahak hi mitti se aane wali khushbu he
Good or bad
Vese to isake koi vishesh fayade ya nuksan ka jikra nahi he parantu esi manyata he ki pahali baarish me bhigane se skin sambandhit bimariyon me rahat milati he
Varsha ritu ki pahali Baarish me jarur snan karana chahiye parantu jinako cough cold ki shikayat rahati he unhe isase bachana chahiye
Baarish ka aanad le aur usaka lutf uthaye jindagi me in prakratik chigon ka aanand uthana hi chahiye kyonki inase man prafullit aur aanand se bhar jata he
In natural feelings se hame khushi milati he hamara utsah badhata he jyada productive aur energetic ho jate he aur hanara jivan prerit rahata he
Ayurvedic aur naturopathy me bahut se ese rog he jinaka ilaj mitti dwara kiya jata he isliye isake mahatva ko janate samajhate hue isaka samuchit upyog kiya jana chahiye
aaj ke is aadhunik jivan shelli me natural life ko karib se janana he to barish ka aanad le mitti ki mahak ka lutf uthaye isase jivan me khushiyan aayegi
No comments:
Post a Comment