Search This Blog

Saturday, 31 March 2018

Happy 😀 || ख़ुशी खुद के भीतर

Happy / ख़ुशी खुद के भीतर

Myvoiceloud

Happiness ya khushi kao hum kai rupon me kai jagahon par kai tarikon se talashate rahate he chahe vo manoranjan , traveling ,hobbies games aadi kisi bhi prakar se ho hum prapt karane ka prayas karate he par kitana safal ho pate he ye hum swayms hi bata sakate he .

Khushi kya he?

Ise hum is tarah se samagh sakate he ki kisi ko koi kary karane ya hone par jo aantrik aanad ya prasannata milati he usake liye vo happiness he ham khushiyon ko bahar dhundte rahate he parantu vah to hamare andar hi chipi hoti he hame use bahar talashane ki aavashyakata nahi he vo hamare bhitar hamare man me he hum khushi ko yog dhyan aadi kriyavo dwara mAhsus kar sakate he.

Khushi ko kese prapt kar sakate he ? 

Wese to budhiziviyon ne is bare me bahut kuch kaha he evam kai chige batai he me to sirf mote mote taur par kahana chahunga
Khushi 2 prakar se prapt ki ja sakati he 

Bhotik 

aadhyatmik

Bhautik prakar me vo khushi aati he jisame physically chijen hoti he jese games khelana , hobbies , activities ,job , pramotion , watching etc esi sari activities jo hamare favour me hoti he aur jisase hame aanand ya achcha mahsus hota he

Adhyatmik khushi me hame ji aantarik ,internal milati he aur hamare unterman kO shanti prapt hoti he tatha hame achchha lagata he isame - yoga meditation karana  , prakriti ke karib jana jese kisi prakritik jagah par samay bitana  prakrati se connect hona , vedo mahapurushon aadi ki baton ko jivan me utarana  tatha gahari aadyatmik shanti ka marg dhundna jisase man ko sukun mile tatha becheni na ho .

Abhivyakti ki aazadi

Khushi ko prapt karane ki aadhyatmik rah me vyakti ko Santos va safalata milati hi he chahe vah kisi bhi pad ya koi bhi kary karata ho .

Bhotik kriyaon dwara temporary khushi milati he parantu aadhyatmik evam aantarik kriyaon dwara hum permanent happy prapt kar sakate he jo permanent khushi he wo hame bahar se ander ki taraf mudane , ander ki samagh evam aadhyatmik kriyaon dwara hi prapt ki ja sakati he atah hame man ki un kriyaon ko karana hoga jo hame sthayi khushi aur aanad de .



Khushiyon ki he azadi
, khushiyon ki he baat 
bahar kya tu dhundhe
 ye ander ki he baat 
bahar tukadon ki he roshani
 bhitar he ujas 
rakh le man ko kabu me
 bhitar bujhegi pyas 
tere bhitar he ujiyara
 bhitar khushiyon ka ahsas

Myvoiceloud

Be live , be free , be happy 

No comments:

Post a Comment