Search This Blog

Thursday 31 May 2018

Biology as a career / jiv vigyan ek career

Biology as a career / jiv vigyan ek career

Biology, career , chemistry

Doston bahut se bachche career ko lekar tension me rahate he ki vigyan me kya awasar he kya nahi kitani chunoti he isake bare me janane ki jigyasa student ke man me bani rahati he jab vo subject choose karata he tab aur usake baad me bhi chintit rahate he 

Aj hum biology ko lekar baat karane wale he bahut se bachche 10th ke baad bhi jiv vigyan me career ko lekar pareshan rahate he 

Bio ke field me 12th ke baad kai sari sambhavnao ke dwar khul jate he jiname pramukh he 

Career in bio

1. Medical field
friends bahut sare parents aur students bhi is field me jana chahate he 
Ye traditional aur evergreen field he 
Isame  m.b.b.s karake bachelor degree aur mmasters karake logon ki seva ke santh name fame bhi milata he isake liye entrance exam ko pass out hone par hi merit ke aadhar par admission milata he 

Agar medical field me hi jana he to isame bhi kai sare vikalp mojud he 
Jese ayurved,
Homeopathic
Unani
Neuropathy
Naturopathy

-Jiv vigyan ,biology


Aur bhi kai branches he 

2. Farmacy
Isame chemical reaction aur chemistry related field he 
Iska scope farma industry ke alawa manufacturing process and companies me hota he 

3. Biotech

Biology aur technology ka combination he ye field ye future me bahut badi industry hogi 

4. Chemistry

Isame kai sare option he jisame 
Biochemistry
Environmental chemistry
Pharma chemistry

5. Microbiology ,me jivanuon ke adhyan me vikalp talash sakate he isi tarah
 seed technology me bijon ka adhyan ,
Fishries me matsya palan ka adhyan aur isame private aur government job ke avasar uplabdh he 
Inake alawa

Diploma course

Ot , pathology, lab technician 
esi bahut si branches he jinke diploma courses karake aasani se job pa sakate he 

Higher education

P.hd. aur research ke field me jakar bhi achcha career apanaya ja sakata he 

Friends isake alawa teaching ek behtar career vikalp in biology he jisame ki aap b.ed., d.ed. karake school me teacher ban sakate he  tatha m.sc. m.phil. aur phd ke dwara college me professor aur lecturer ban sakate he jo ki ek bahut achcha option he 

Ummid karata hu ki ye post pasand aayegi aap hame follow aur subscribe kar sakate he 


No comments:

Post a Comment