Search This Blog

Saturday 26 May 2018

21 June international yoga day ||अंतररास्ट्रीय योग दिवस

21 June international yoga day ||अंतररास्ट्रीय  योग दिवस

Yoga , pranayam,aasan,dhyan,vidhiyan
Yoga day

Bharatvarsh sahit pure vishva me antarrashtriy yog divas pure josh evam ullas ke santh manate he jisaki sankalpana evam sanstuti india ki taraf se hi ki gayi thi 
United nation me 2014 ke december me rup rekha teyar hue thi jisaka prastav bharat ke prime minister shri narendra modi dwara ki thi evam usaka samarthan 177 deshon ne kiya tha aur international yoga day 2018 ko bhi large scale par aayojan he 

Yoga day kyon manate he ?

Vishva ke logon ki sehat ko durust karane pradushan aadi se hone wale nuksan jo kam karane tatha aam insan ke jivan me sahi swasthya parivartan lane hetu vishwa yog divas manate he 

21 june ko uttari golardh me sabase bada tatha daxini golardh me chota din hota he is din manane ka ek karan yah bhi he 

Yog divas event 

Isame yog ,dhyan ,aasan ,pranayam tatha vibhinn yog mudraon dwara jese suryasan aadi se sharir ke santh man ko bhi healthi rakhane ka karya kiya jata he 

Yog se hone wale fayde 
Yog karane ke anek labh he iname 

. sharir ko healthy rakhane me madad milati he 
. Man swasth rahata he 
.kai rogon ke upchar me labhkari
.bahut sari bimariyon ka nivaran sambhav 
.tan aur man ka balance banane me labhakari
.sharir ka vyayam yog
.sabake liye sambhav 
.yog aur pranayam dwara pran vayu ki lay jankar body ki balancing karana 
.yog se tanav ki mukti tatha concentration badhane me sahayak 

Yog se kisi bhi tarah ka koi nuksan ki sambhavna bilkul bhi nahi 

Anterastriy yoga day har sal 21 June ko manate he 

2017 yoga day par 84 contries ne hissa liya tha pradhanamntri narendra modi aur takriban 35 hagar logon jisame bachche evam mahilaen bhi shamil thi hissa liya tha jo ki ek world record he 

Aayojan 
Yoga divas ke liye vishesh rup se teyari ki jati he tatha bade vyapak rup se ise schools colleges evam university tatha samuhik samaroh ka aayojan kiya jata he jisame badi sankhya me log bhag lete he jiname khel ,sinema ,rajniti ki badi bastiyan bhi shamil hoti he 

Yog ek prachin bharatiy parampara

Prachin bharatiy paramparaon me se ek yog he hamare yahan yog ka vigyan bahut samradh he rishi muniyon aur sadhu santo ke dwara pradan kiya gaya amulya vardan he
Aaj se hajaron varsh purv rishiyon ne login ki mansik aur sharirik avam aadhyatmik samsyaon ka aasan evam saral tarike se hal is yog dwara nikala he

Inhe bhi padhe
Nipah virus
Vishva paryavaran divas
Safalata ke sutra

Ise apanakar puri tarike se fit evam tandurust raha ja sakata he 

Aasha karata hu aapako ye article achcha lagega aap chahe to hame follow aur subscribe bhi kar sakate he

No comments:

Post a Comment