Search This Blog

Tuesday 29 May 2018

Safalata ke 5 mool mantra | 5tips to get success

Safalata ke 5 mool mantra | 5tips to get success 

Jindagi me safalata pana kon nahi chahata? Sabako ese mool mantron ki talash rahati he jinase vyakti success ki pa sake vo bhi jaldi se jaldi 
Success, achieve,confidance
Safalata ke mool mantra

To agar aap bhi esa hi sochate he to aapako ye bata du ki safalata koi khilona nahi he ki kahin gaye aur le aaye ya koi vastu nahi he ki use koi aapako de de 

Isake liye kuch baton ka vishesh dhyan rakhana hota he ise samagh kar jan kar hi hasil aur maintain kiya ja sakata he aaj me aapko safalata ke 5 mool mantra bataunga jinhe janakar aap success pane ki disha me Age badh sakate he aaeye janate he vo kya he 

1. Aatmvishwas ka hona 

Agar safal aur asafal vyaktiyon par gor karenge to payenge ki unme jyada kuch fark nahi he ek jesi skill kabiliyat aur bahut sare mamale me to kam kabiliyat wale log bhi bulandiyon ko chu lete he kyonki buniyadi rup se unme aatmvishwas adhik hota he 
Khud par vishwas hona hi safalata ki garanti mil sakati he 
Aur aatmvishwas badhane ya khud me self confidence ke liye chigon ka gyan unaki samagh aur anubhav kam aate he 

2. Prayas ka koi vikalp nahi 
 lagatar koshish karate rahane se safalata milane ki sambhavna badh jatj he 
mahan vyakti vo nahi jo vifal na ho mahan to vo he jo safalata milane tak prayas jari rakhata he 
doston aap harate kisi bhi surat me nahi ya to aap success honge ya apane anubhav galatiyon se sikhenge aur agla prayas punah safal hone ke liye aur is kram ko lagatar jari rakhe jab tak aap success na ho

3. Sikhane ki ichcha

Ek achcha vidhyarthi hi mahan guru ban sakata he 
Jis kisi me sikhane ki jitani prabal abhilasha hogi vo us karya me utani maharat hasil kar payega  
Itihas me isake kai udaharan bhare pade he jese Eklavya jisane apane sikhane ki lalak ke dam par hi dhanurvidya me shreshthata hasil ki 
isi tarah har koi safalata hasil kar payega yadi vah apane bhitar sikhane ki chamata ko viksit kar paye to 
. vifalataon se sikho learning process me apani vifalata ko hathiyar banakar  galatiyo kamiyon me sudhar karake nishchit hi success prapt hogi 
Safalata , self-confidence, motivated

4. Khud ko kamtar na samaghe


Vyakati dusaron se tulana karane ki aadat ke karan hin bhavana ko havi na hone de 
Sadhan ki kami ke karan kuch pareshani aa sakati he parantu anttogatva khud par vishwas rakhane aur swayam ko chota na samaghane evam manviy guno ke karan manzil zaroor hasil hogi 

Kabhi bhi apane aap ko chota na samaghe apani chamatao ko pahchane apane sapano ko jane aur jut jaye use pura karane me koi aapko nahi rok sakata bus vo yatharth ke dharatal par ho bus fir dekhiye kamal 

5. Dusaron se sikhe

Kai bar vyakti bahut mehnat karata he aur apana pura effort laga deta he but succes to milati je par vanchit safalata nahi mil pati ese me dusaron se sikhana samaghana ki unhone kese success ko achieve kiya ,aur bade buzurgon ki sikh bahut kam aa sakati than you will get successful 

Aap kisi bhi field me ho hamesha dusaron se sikhana ya unake success model ko samaghana life me bahut kam aayega ki unhone kis tarah viprit paristhitiyon ko apane par havi nahi hone diya aur safalata ka marg prashast kiya 

Ye bhi padhe

Yoga day
results ka tanav

No comments:

Post a Comment