Search This Blog

Monday 2 April 2018

Na kahana sikhe || say no to others

Na kahana sikhe | say no 


Myvoiceloud


Jindagi me kai bar hum esi sthiti me hote he ki hum dusaron ko na nahi kah pate chahe hamari majburi hi kyon na ho isase ham par atirikt bogh aa jata he va hami karyachamata prabhavit hoti he. jivan me kai bar hamare karibiyon ko hum kisi kary ya baton ko lekar na nahi kah pate isame faimily ka bhi pressure rahata he parantu yadi ham jivan me na kahana bhi sikh le to jindagi ko aur behter banaya ja sakata he .


Na kise kahe 

Hum un sabhi ko na kah sakate he  jinake dwara atirikt bhavnatmak ya karyatmak bogh padata ho ya hamari manah sthiti boghil mahsus hoti he 

Isake dayare me har koi ata he evam bachpan ke shuru se ant tak ki paristhiti aati he jese student ki shuruati life me subects chunane se lekar kis stream me career banana he isako lekar parents ka dabav rahata he  chahe vo hamare man hamari chamata ke anurup ho ya na ho aur hum usi disha me aage badhate he parantu utana perform nahi kar pate jitana vastav me kar sakate he to na kahana sikhe 

Isake alawa shadi ke samay uchit samanjasya hone par hi han kahe evam bhavnatmak samay aur aapsi karibiyon jese tau , chacha ya aur bhi koi sage sambandhi jinase koi takarav ke samay ya esi koi sthiti ke samay unase na kahe ye kadam us samay bura jarur lagega parantu aane wale samay me ye uchit , sahi ,va hitkari pratit hoga 

Karyasthal , doston aadi ko sahi tarike se sahi baaton ke liye na kahna sikhe ye bhavishya va man swasthya ke liye bhi sahi hi hoga 
Myvoiceloud

Na kise kahe 

Isame vo sabhi aate he jo hamase connected he hamase jude ho  jese sage ---mbandhi ,dost nate rishtedar etc sabhi aate he aap un sabhi ko na kah sakate he jinpar aapako hichak mahsus ho .

Hame jindagi me hamesha yahi sikhaya jata he ki jahan tak ho sake sabaki madad karo  kisi ki baat mat talo  , kisi kam ka mana nahi karo aadi baten he jo bachpan se sikhayi jati he parantu yadi hun na kahana sikhe lege to jivan me jyada khush rah payenge 

 

Ye bhi padhe.  Happy 

                         Freedom of expression

                           Salt

Life me hamesha sabhi ko koi bhi hamesha khush  rakhane ka prayas karata he adhiktar mamlon me vo vifal hota he kyonki sab ki ichchha purti manav jivan me sabhi ke liye sambhav nahi han hum prayas avashya kar sakate he par dusaro ki ichchavo ki purti me aksar vyakti khud depress hone lagata he isliye vyakti swayam khush rahega tabhi vah dusaro ko bhi khush rah sakata he .

aap hame comment karake bata sakate he aur hame follow , subscribe  bhi kar sakate he

No comments:

Post a Comment