Search This Blog

Wednesday 16 May 2018

10th ke baad career in biology

10th ke baad career in biology

10 vi ke baad subject konsa chune biology me career banaye ya kisi aur field me ?
 
10th ke baad career in biology
Career in biology
bio ki field bahut hi vast aur intresting he jub student 10th ke baad aage ki class me subject lene se pahale bahut sare vikalpon par gor karate he to unme ek ye bhi he 

Dekhiye sabase pahale to ye clear kar du ke koi bhi visay kam ,jyada ,chota, bada nahi hota sab ka vatage (mahatva) barabar hi he par ha sab me career banane ke vikalp kam jyada ho sakate he aaj ham career in biology visay par baat karege 

Bio me subject
11th me jub bio visay lete he to isake antargat science me physics, chemistry aur biology aate he tatha baad me inaka aur vistar hota jata he 

Career in biology

10th ke baad biology me career banane ke liye dhero option he isame aage chalakar bahut sare field me career bana sakate he 

Higher secondary ke baad 
diploma in

operation theater (ot)

Lab technician

X-ray

Radiology

Pathology

aur bahut sare isake alawa iname degree corses bhi kar sakate he 

Inake alawa 

Career in medical

12th ke baad entrance exam dene ke baad m.b.b.s. karake doctor ban sakate he 
Ye basically ek bachelor degree hoti he jise bachelor of medicine and bachelor of surgery kaha jata he isake baad m.s. , m.d. master of medicine, master of surgery karte he to us perticular category ke specialist ban jate he 

ab yahan ye batana aawashyak he ki india me mbbs ke liye bahut compititition he 
agar doctor ki field hi chunana he to ayurvedi ( bams) homyopethic (bhms) , neturopathy aur bhi kai field chun sakate he 

career in farmacy
ye bhi ek achchha field he isame pharma company, medicinal plant , chemical company , research and development me kam pa sakate he 

Career in education
Private and govt job in educational institute me bsc. bed. karake prapt kar sakate he aur college me phd. karake bhavishya bana sakate he  aaj shiksha ke kshetra me bahut avasar prapt he isame bhi students ka bhavishya ujjwal he

Career as a scientist
Padhai me achcha score karane wale candidate ek vegyanik banakar desh ki seva ka sunahara moka pa sakate he

Career in army
Aajkal army me 12th aur graduation karane ke bad kai padon par nokary pa sakate he isake anargat nurse , doctor aur bahut si field he jisame kam karake desh ka gourav badha sakate he 

Career in different jobs 
Isame vibhinn prakar ke job jese  medical transcription , medical representative aur bhi kai job he jo biology ki field me 12th aur graduation ke baad diploma aur digree corses tatha entrance exam ke baad pa sakate he 

Ye bhi padhe 
                       Result ka tanav
               Safalata ke sutra
In sabake atirikt advance field me bhi career bana sakate he jese neno technology, bio informatics , hospital sector , hospitality industry aadi me biology me ek sunahara bhavishya bana sakate he 

Career in biology

No comments:

Post a Comment