Search This Blog

Monday 26 March 2018

Vigyapano ka bhram || advertisement illusion

विज्ञापनों का भ्रम / advertisement illusion


विज्ञापन (advertisement) का भ्रम , धोखा
Myvoiceloud

India me ya dunia me kahi par bhi kisi bhi product ki selling ke liye marketing bahut important hoti he aur isake liye advertisement karani padati he viksit pashchimi deshon me vigyapan ke liye niyam bane hue he jinako vahan ki sarkare bahut stricly follow karavati he but bharat desh me esa nahi hota yahan rules aur regulations to he parantu unme loop hole hone ke karan govt kathorata se lagu nahi kar pati isame govt ki ichcha sakti ka abhav spast najar ata he.

vigyapan jaise Horlicks , bornvita , complain aadi me hight , growth badhane ka vada , dava kiya jata he par ye jhoothe aur bhramak hi adhiktar paye jate he jo ki samaj aur hamare liye bahut hi nuksadayak hote he



dusare vigyapano ko hi lijiye jiname ,health , beauty aadi ko lekar kitane false dave karate he jisame gore hone jese vigyapano ki bharamar he par in krim (fair&lovely etc) se gora nahi hoya jata par han in company ka munafa pat jata he aur ye arabon me khelti he 

Inka mukhya nishana bhole bhale aam nagrik hote he kyonki ye log aasani se vigyapano par vishvas kar lete he

AdeverAdverti me kai sare pralobhan  lalach aadi Jese akarshak dikhana gora hona higt growth badhana aur yahan tak ki perfume se ladkiyon ka mar Mitana aur tut parana impres hona aadi jesi kai batein he joined yatharth me sambhav nahi aur aage bavishya me bhi sambhavna nahi dikhati .

Govt ka role 

Sarkaron ka bahut hi jyada importance ho Jata he kyonki Bina govt ki permission ke itane bhramak , mayavi aur unrealistic vigyapan TV , social media , print , electronic media aadi par nahi chal sakate aur logon Ko jhoothi va galat jankari dwara bevkoof nahi Bana pate .

myvoiceloud

Hame yahi chahiye ki in vigyapano ke ghoonthe , bhramak , false pralobhan me na Aakar Sonch samaghakar aur parakhakar hi vishawas kare evam sahi va Jo apane liye upukt ho chune aur ek samajhdar grahak bane and sahi results nahi milane par legal action Lene me koi hichak mahsus na kare

Aam insan ki majburi ye hoti he ki vo chahkar bhi vishesh kuch nahi kar pata keval cort ki hi sharan le sakata he lekin usamen kitana vilamb hota he ye to sabako pata he nyay aate aate itana vilamb ho jata he ki vo bhi bemani lagane lagata he .

Also like
School me subject kese chune

Indian education system

Aadi guru shankaracharya

No comments:

Post a Comment