Abhivyakti ki aazadi / freedom of expression
Abhivyakti ya expression ka hamare jivan me kitana mahatva he isaka andaza lagana bhi mushkil he isake bina loktantra kayam nahi rah sakata aaj ke yug me bolane , likhane ,vichar vyakt karane , rahan ,sahan ,pahanava aadi baton me swatantra hi ekamatr bat he jo sabake anurup he aur ho sakati he .
Abhivyakti kya he ?
Ise hum is tarah samagh sakate he ki hum jo bhi hamare thought he hum jo bhi express karana chahe vo chahe kisi bi rup me ho jese bolane ki aazadi likhane , rahane ,vichar vyakt karane prit electronic kisi bhi rup me , rahan sahan pahanava sabhyata, sanskar, education aadi ki aazadi swatantra hona hi sahi mayane me freedom of expression , abhivyakti ki aazadi he
Sarkar ka role ?
Deshon me sanvidhan ko implement karane ka kan govt ka hi hota he prajatantra me loktantrik niyamo ko sahi rup me lagu karana ek bada aur mahtvpurn karya he
Kai deshon me khaskar arab contries me mahilaon ko vo samman evam adhikar nahi mil pate jese bharat aur western contries jese america aadi me milata he
Abhivyakti ke adhikar
Isake antargat bolane ,likhane , padhane bhasha, sanskar , religion ka apnane manane ki swatantrata hoti he aur isame kisi tarah ki rukawat aane par use thik karane ka dayitva govt ka hi hota he
Kuch namale jese ki patrakaro ki hatya , filmo ka release na ho e dena , content creation me badha dalana , cartoonist arrest , social activist , rti actist ko dhamaki aaur ese kai mamale jiname sarakaron ki akriyata samane aati he , abhivyakti ki aazadi me badhak banati he naye bharat naye rastra ke nirman me rukawat peda karati he
Kya hona chahiye?
Hona ye chahiye ki sanvidhan ke rules aur regulations ke hisab se govt , police , politicians aadi ko chalana chahiye but apane swarth aur fayade ke liye politicians , police ,govt ,local dabang yahan tak ki antarrashtriy stur par bhi rules ka violation hota he ye nahi hona chahiye
Ye bhi padhe
Summer vacations enjoyment
Ravindranath tagore jayanti
Summer vacations enjoyment
Ravindranath tagore jayanti
Kya hum kuch kar sakate he ?
Kyon nahi , yadi hame esa lage ya hamare aaspas esa kuch ho to hame usake khilaf aawaj uthani chahiye jo tarika sanvidhan ke dayare me ho .
Abhivyakti ki aazadi moulik adhikaro ke antergataata he aur viksit desh is masale par adhik mukhar pratit hote he vahi vikasashil desh abhi bhi isase jugh rahe he
No comments:
Post a Comment