Namak kitana upyogi /salt how much useful
Doston aap sabhi namak ke upyog ke bare me janate hi honge aaj hum salt ki janaral chacha karege .
Salt jisaka chemical composition nacl yani sodium chloride he ke gun dosh se jyada hamare jivan me swad ke rup me isaka mahatva he bina namak ke ek nirogi vyakti ko bhojan ka aanand nahi aa sakata isliye bhale hi khane me kuch chijon ki kami ho par namak aavashyak he .
ye bhi padhe; abhivyakti ki aazadi
Namak ka karya
Vese to namak bhojan me swad va ruchi badhata he par jyada biological na jate hue hum general way me kahe to ye blood pressure bharane ka kam bhi karata he isliye high b.p. , heart patient tatha jinhe cardiac problem he unhe namak ka sevan uchit matra me karan chaiye taki unhe aage bhavishya me bimari ka samana na karana pade .
Namak ke prakar
Yadi hum scientific way me na jaye to generally ham namak upyog me late he
Kala namak
Sendha namak
Safed namak
Hum jyadatar jo namak upyog karate he wo prosses kiya hua safed namak hota he jisame iodine bhi hota he aur iodine se ghengha naamak bimari se bachav hota he
Konsa namak upyogi?
vese to sabhi namak ka upyog karana chahiye par Shodh aur research ye batate he ki safed namak ka adhik sevan nuksadayak he aur kale evam sendha namak ka swasthya par kam nuksan hota he safed namak ki tulana me
Kala va sendha namak hamare swasthya evam hamare hit me upyogi he atah hame inaka sevan karana chahiye evam ruchi purana bhojan karana chahiye
Mudde wali baat ye he ki salt ka upyog to aavashyak he parantu isake santh hi ye bhi janana atyant jaruri he ki namak ka adhik matra me sevan hanikarak hi he aur aaj ki jivan sheli me is baat ka atyadhik dhyan rakhane ki jarurat he high blood pressure ki samasya ka ek karan ye bhi he aur jyadatar high b.p. ke marij ko namak ke kam sevan ki hi salah di jati he isake sthan par kala v sendha namak ka upyog faydemand sabit ho sakata he .

No comments:
Post a Comment