Safalata ke sutra hindi me/success tips in hindi
Safalata |
Safalata pana kon nahi chahata jivan me har koi success hona chahata he ki vo jivan me aage badhe aur nai unchai yon ko hasil kar paye jo ki jivan me success hokar hi paya ja sakata he life me aarthik samradhi,shanti,tarakki aur jivan me jo bhi pemane he unhe hasil kiya jo sakata he safalata ko prapt karake aaeye janate he safalata ke kuch sutra
lakchya nirdharit kare (set goals)
Safalata hasil karane hetu sarvapratham apana goal set kare isake abhav me kai bar pratibhashali vyakti bhi safalata paane me chuk jata he
Is sutra ko ham is tarah se samagh sakate he ki koi navik kahi par jana chahta he parantu usane kahan jana he ye lakchya nirdharit hi nahi kiya to vo paani me idhar udhar bhatakata rahega kabhi bhi manzil tak nahi pahunch payega
Sakaratmakta apanaye (accept positivity)
Safalata pane ka ye sutra bahut hi mahattvapoorn he kyonki kisi bhi field me success prapt karane hetu sakaratmak dristikon apanana hoga
scientific research batate he ki koi bhi kam complete karana ho chahe exam clear karana he ya fir anya karya purn karane me sakaratmak dristikon apanane wale anya ke mukabale adhik safal hote he tatha unki safalata ka pratishat bhi adhik hota he
Lagatar prayas (continues trying)
Safalata hetu koshish karate rahana atyant aavashyak he bahut sare log ek do bar prayas karake chod dete he parantu itihas batata he ki barabar prayatna karane par safalta hasi hoti he
scientist thamas alwa adison ko sekado prayatno ke bad hi success hath lagi hamare desh bharat ko aazadi kai bar koshish karane ke bad mili
Aakalan kare (self analysis)
Safalata ke sutra me ye bahut aham he swayam ka aakalan karane ki kala jo sikh gaya samagho vo jit gaya jivan ke kisi kshetra me kahan kami he kya sudhar kare ye baatein keval analysis se hi pata ki ja sakati he aur bhavishya ki asafalta se nipatane ja sakata he
self analysis ko self help ka jariya banakar aasani se safalata prapt ho hone me madad milati he
also read
doston ummid karata hu ye baate aapako positive feel karaye aap niche comment karake jarur bataye chahe to hame subscribe karake e-mail par notification pa sakate he
post padhne ke liye dhanyawad
No comments:
Post a Comment