Search This Blog

Thursday 26 April 2018

Gurudev ravindranath tegore jayanti in hindi

Gurudev ravindranath tegore jayanti in hindi 

           

7 may 2018


Ravindranath tagore ji ka janm tithi 7 may 1861 ko kalakatta me hua tha. inhone sahitya ke kshetra me atulniya sarahniya kam kiya he gurudev bachapan se hi bahut pratibhashali aur gyani the ye bade hi susankarit aur uchch shikshit the 

Myvoiceloud

Pratibha
Ravindranath ji bahumukhi pratibha ke dhani the ye ek lekhak ,kavi , nibandhakar,upnyaskar ,chitrakar hone ke santh sangitkar aur ek purna sahityakar the
Uplabdhi
Ravindranath ji ka jivan hi hamare liye ek badi uplabdhi he parantu agar kinhi pramukh ki bat kare to nobel prize "Gitngali" krati ke liye mila tha isake alawa we ekmatra ese shakhs he jinki  krati se do deshon ka rashtragan liya he ek Bharat ka jan -gan-man dusara bangladesh ka amar-sonar
Karya 
Ravindranath tagore ji ne ek kavi chitrakar sangitkar sahityakar ke rup me samaj me bahut bada yogdan diya he shiksha ke kshetra me bhi sarahniya karya raha aaj bhi unki shiksha aur sanskar prapt karane ke liye aadrsh sthiti se margdarshan pa sakate he is hetu hi unhone shanti niketan ki sthapana ki thi jo aaj vishwa bharti bhi kahalata he
Ayojan 
Ravindranath tagore ji ki janm jayanti ke upalakshy me bade hi harshollas se sahityik pratiyogitaon jese quiz , essay ,debate compitction aadi ka aayojan kiya jata he aur uhe yaad kiya jata he

Ravindranath ji ne kai natak drama nibandh upnyas musical dramas plays aadi likhe he inaki bahut si kritiyon me ek gora namak krati mughe personaly pasand he inako gurudev ki upadhi se bhi navaja gaya he ye gandhiji ke bhi priy the aur unake aadarshon ahinsa ka marg inhe priy tha 1941 me inka nidhan hua tha

Ant me bas ye hi kahana chahunga ki yadi aap gurudev ke bare me adhik janana chahate he to unake upnyas kavita unake sahitya ke bare me vistar se padhe tabhi aap ek kavi sahityakar rachanakar sangitkar ke bare me adhik samagh payenge jan payenge 

No comments:

Post a Comment