Asafalta se sikho / learn from failure
Jivan me hamesha sabhi kabhi na kabhi asafal(failure) hote hi he failure hona aam he
Safal evam mahan vyakti jivan me kai bar asafal hone par bhi prayas karana nahi chodte aur prayason ke lagatar karate rahane ke karan hi wo safal ho pate he
Safal evam kamyab hone ke liye anushasan aur anusaran aavashyak he.
Prayas
Lagataar prayas krate rahana kitana jaruri he iska ek udaharan scientist thamas alwa adison the unhone sekado bar koshish ki vifal hone par bhi unhone try karana nahi choda aur aakhirkar unhe balb ke aavishkar me safalta mil hi gayi agar vo asafalta se nahi sikhate to safal nahi ho pate
isi prakar motivational writer shiv kheda ko bhi kai prayason ke bad hi safalata hath lagi aur ese kai log he jinhone asafalta se sikhakar hi safalata hasil ki he .
Ye bhi padhe
Tanav se mukti
Summer vacations enjoyment
Ye bhi padhe
Tanav se mukti
Summer vacations enjoyment
Asafalta se sikhane ke tips
1. Lagatar prayas : lagatar prayas karate rahane par hi safal ho sakate he parishram ka koi vikalp nahi ek bar vifal hone par agli bar punah usi utsah se dubara prayas kare
2.kami ko swikaro: asafalta milane par usame kya kami rah gayi he usako pahchano aur usame sudhar karo aur punah koshish karo
3.pura jor lagao : vifal hone par dugune utsah ke sath pura jor lagakar yani puri teyari ke santh prayas karana chahiye tabhi asafalta se sikh sakate he aur safalata hasil ho sakati he .
4.lakchya ko hamesha yad rakhe : safalta pane ke liye ye bahut hi jaruri he kyonki lakchya se bhatakane par vifalataon hi milati he
5.safsl vyaktiyon se prerana le : mahan aur safal vyakti ke jivan se prerana lekar kam ko anushasit tarike se karake unake vicharon se prerana lekar safal ho sakate he
Asafalta ko chunoti ki tarah swikar karana chahiye aur asafalta se sikhakar safaya ke liye pure man se prayas karana chahiye.
safalata aur asafalta ek sikke ke do pahalu he jinhe hame sakaratmak tarike se lena chiye bharpur prayas karate hue kahan par galati hue usase sikhate hue bhavishya me aage bhadate rahane ka marg prashast karate rahana hi failure se jitana aur success achieve karana he
No comments:
Post a Comment