Dar ko bhagaye
yadi me kalpana karu to jivan ki kisi bhi avastha me kabhi na kabhi ham darate jarur he chahe vo bachpan ho ,javani ya budhapa hame kabhi to dar lagata hi he chahe vo exam ka fear ya success ka ya life problems ka hamesha yahi kamana karate he ki esa na ho vesa na ho chahe hamare pas kitana hi pesa , gadi , success kuch bhi prapt ho jaye kahi anterman me ek dar chupa hota he jo ki utana jaruri nahi he jitana ham use tavjjo dete he jaruri he to bus use samajhane ki ,dur karane ki dar ko bhagane ki aaeye janate he dar ko kese bhagaye .
Dar kya he?
Vastav me hum jitane bhaybhit rahate he ''ar'nam ki esi koi chij yatharth me hoti hi nahi he ye bas hamari kalpana he hamara hi utpann kiya hua ek vikar he jo hame mansik rup se kamjor banati he aur hamari karyapadhati par bhi asar hota he
Ise ham is tarah bhi samagh sakate he manlo ham koi shop kholane ja rahe he ya exam dene ja rahe he usase pahale hi anhoni wale vicharon se darate rahate he are esa nahi hoga to kya hoga vesa nahi hoga to kya hoga jabaki darane se kuch hasil nahi hota dar ke karano par kam karake hi dar ko dur kiya ja sakata he.
Dar ko bhagane ke upay
Asal me dar ko bhagana he to sabase pahale dar ke karan ko janana jaruri he usake bad us par kam karana taki un karano ko un samsyaon ko hal kiya ja sake tabhi dar ke asal karano ka pata karake hi use dur kiya ja sakata he kuch mamalo me esa bhi hota he ki mool samsya ko sahi tarike se na janana bhi dar ka karan banata he jese exam fear har student ke man me rahata he par yadi ham achche se padhenge aur sahi likhege to darane ki koi vajah hi nahi he aeyedar ko bhagane ke upayon ki bat karate he :
Dar ke karan ko janana
Dar ke vastvik karan ko janana bahut jaruri he isake dwara hum lagbhag puri jang jit sakate he kyonki samasya ki jad pata hone se usaka nidan karane me aasani hoti he udahran ke liye duban se har koi darata he par yadi terana aata he to pani se dubane se dar nahi lagega
Worst ke liye teyar rahe
Manlo koi vyakti bussiness karana chahata he par use dar bhi lagata he ki kahi isame fail na ho jau to isake liye aapako worst yani kharab sthiti ke liye bhi pahale se teyar rahana chahiye jese yadi naya kam shuru kiya he to yadi aane wale 8 ya 10 mahino tak bhi profit nahi hota he to me us kam ko band nahi karunga aur usake liye pahale se teyar rahunga
Sabhi vanchit parinamo ko visualize kare
Aap jis bhi chij kam parinam se dar rahe he usake sabhi parinamo par gor kare usame jitane bhi result aa sakate he unhe pahale hi apane dimag me drashya sonch ke rakhe aur usake liye prepare kare.
Backup plan rakhe
Jis bhi field me ho chahe padhai competitive exam ki preparation ya koi business ya job ya life ka koi bhi kam hamesha ek bakup plan rakhane se kisi bhi field me hone wale adhiktam nuksan se bach ja sakata he aur dar ko bahut had tak kabu paya ja sakata he
Jo hua usase sikhe
Koi bhi kam karane par safal honge ya asafal dono hi paristhiti me hame s kuch na kuch to sikhane milega hi scientist thamas alwa adison ne sekado asafalta ke bad bulb ka aviskar kiya tha yadi ve dar jate to s kabhi safal nahi hote
Isiliye , "jo dar gaya samagho mar gaya"
ye ek filmi dialogue he.
Aur ant me bas itana hi kahuga ki sadev dar ke aage socho horo ya jito ladana mat chodo tum
Agar achchha lage to hame subscribe kare aur is post ko share kare aap hame myvoiceloud@gmail par mail bhi kar sakate he aur comment bhi karake bata sakate he.
No comments:
Post a Comment