Search This Blog

Sunday, 22 April 2018

World earth day / vishwa jal divas

World earth day /vishwa jal divas

Myvoiceloud

World earth day 22 April ko manaya jata he isaki shuruat ameriki sinetor jerald Nelson  ne 1970 me ki thi jisaka pramukh uddeshy prathvi ,jiv jantu ,prayava par sanrachana ke prati logon me jagrukta felana tha taki log jagruk ho aur environment and all living being ko pollution aur usase hone wale nuksan ke prati prerit kar sake unake is abhiyan me us samay lakhon logon ne bhag liya tha .

Theme 
             Vishva prathvi divas ki is sal ki yani 2018 ki theme he plastic plastic se hone wale nuksan ke prati adhik lig jagruk hobsake taki plastic ki khapat ko kam kiya ja sake aur isase jo pollution prathvi par badhane wala he use kam karane me madad mil sake taki ye earth , environment aur living being ko kam nuksan ho.

Benifit
 Isake kai benefits he jiname se kuch is prakar he 
- pollution ke leval ko kam karane me help milati he
-paryavaran ke prati logon me jagrukta badhati he jisase earth day manana sarthak hota he 
-earth day manane ka krya sampann karane me help 
-pollution ka lavel decrease hone me achcha pratisad milata he 
-pollution kam karane me aasani hoti he
-paryavaran bachane ke sankalp ko pura kare ane me sahayata milati he.
-plastic ki khapat kam hogi 
-jiv jantuon ka aabhar vyakt kar payenge

Shuruat 
Vishva prathvi divas manane ki shuruvat jerald Nelson ne 1970 me ki thi jisaka mukhya dhyey paryavaran sanrachana aur sabhi jiv jantuon ka pradushan se hone wale nuksan ko kam karana evam unaka sanrachana karana tha.
Is abhiyan me jerald Nelson ke avahan par lakhon ameriki is paryavaran sanrachana ke abhiyan me shamil ho gaye the 

Kuch shabd is moke par 

Prathvi ko bachao 
Prathvi ko bachao
har taraf na ye 
Pollution karo
plastic ka kachara felao
kimati bahut he
jindagi sabaki
Use bachao
Paryavaran sanrachana
mano aur manao
plastic na khulti 
na jaldi nast hoti
isaki khapat ghatao
jagrukta felao
sabako batao 
ujiyara felao
world earth day manao 

Ye ek choti si poem I hope apjo pasand aye
Aaj ke yug me aur aane wali pidhi ke liye saf suthara swachh prathvi aur vatavaran hame pradan karana he jo ki bahut hi important he.

world earth day ke rup me paryavaran sanrachana ki muhim ko hame har star par sahyog karana hoga isaka implementation chote gaon kasbon se lekar metro cities tak karana hoga tabhi pollution ke star ko kam karane aur jiv jantu evam paryavaran sanrachana me ek badi kamyabi hasil ho sakegi jo aane wali pidhiyon ke liye kisi vardan se kam nahi.



No comments:

Post a Comment