Search This Blog

Saturday, 14 April 2018

Aadi guru shankaracharya in hindi

Aadi guru shankaracharya

Myvoiceloud

Aadi guru shankaracharya hindu vedant darshan ke praneta the Bharatvarsh me charon dishaon me mathon ki sthapana bhi unhi ke dwara hi ki gayi thi jo ki hindu dharma evam darshan ka pramukh aadhar stambh he .

Shankaracharya kon the


Inaka bachapan ka nam shankar tha .inake pita ka nam shiv guru aur  mata ka nam aryamba tha .lambe antaral par putra prati ke bad bhagvan shiv ke nam par inaka nam shankar rakha gaya inka janm 788 isvi me vartaman ke keral me mana jata he evam mratyu 820 isvime uttrakhand kedarnath me mani jati he . Inhone apne 32 sal ke alpaua jivan me hi hindu dharm me mathon uttar me badrikasram paschim me dwarka dakshin me srangeri math rameshwaram tatha purv me jagannath dham ki sthapana ki. in charon mathon ko hindu manyataon me char dham kaha gaya he kahate he agar manushy jivan me punya labh prapt karane ke liye in charo dhamo ki yatra awashya karani chahiye .

Inaka karya 

Aadi guru shankaracharya ne bal jivan me hi sanyas grahan kar liya tha inhonne pure bharat ki pedal yatra ki evam bharatvarsh ki charo dishaon me charon mathon ki sthapana ki jinake matha dish aaj bhi shankaracharya kahalate he

Inhone mukhya rup se adwait vedant darshan ki vyakhya ki tatha gita, upanishad par likhi gayi tikaye , tippaniyo mukhya rup se ullekhit he . Charon vedon , vedangon ke prakand vidwan the aur vedon ke athah gyan ko apane bhasy avam rachanaon tatha bharat bhraman aur charon mathon ki sthapana aadi karyon dwara aam bhartiya janamanas tak pahunchaya aur aatma parmatma ke ekatmavad ko punah paribhashit kar hindu janmanas ko ke athah kiya.

Sanyas grahan ki kahani
Inake sanyas lene ki katha bhi vichitr he kaha jata he ki jab ye chote the nadi kinare magaramachchh ne inaka per pakad liya aur inhone maa se kaha "maa mughe sanyas lene ki aagya do nahi to ye magermach mughe mughe kha jayega "maa ne ghabrahat me dar ke mare aagya de di aur aashcharya unake kahate hi magaramachchh ne unake pair chod diye.

Shastrarth
Shankaracharya ji ne pure bharat varsh me yatra ke dauran kai jagah shastrarth kiya evam hindu dharma ko samajhane me logon ki madad ki esa hi ek pramukh charchit shastrarth Mandan mishra ke santh saptanik hua tha jisame mandan mishra aur unki vidushi patni ko haraya thatatha jisake bad mandan mishra ko ek math ka mathadhish banaya gaya tha.

Un shankarachary ko jinhone adwait vedant darshan ki aadhar shila me mahatvapoorn bhumika nibhayi tatha hindu dharm aatma ekatma darshan ko aam bhartiya janamanas tak pahunchaya ,mera shat shat naman.

No comments:

Post a Comment