Search This Blog

Sunday 18 March 2018

विश्व जल दिवस ||world water day

    vishva jal divas / world water day



myvoiceloud



                rastriya jal divas / world water day


   water day kya he?

jal ka sanrachana karane evam saf pine ke pani ki upalabdhata sunishchit karane ke uddeshya hetu brajil ke rio di jenerio me aayojit sanyukt rastra mahasabha me 1992 me pahal hue va 1993 me water day manae ka niranay liya gaya.
Is tarah wishva jal divas manane ki shuruvat hui.

world water day kyon manaya jata he ?

  pure Vishva me jal  pahunch sabhi vyaktiyon tak yani pine ke pani ko har vyakti ko muhaiya karana aur jal ke sanrachana par sabhi ko prerit aur jagruk karana jo ki atyant hi aavashyak evam mahtva poorn ho chuka he aaj ke daur me iski jarurat par adhik dhyan dene ki aavashyakata he .

jal ka sanrachana


Jal hi jivan he 
Is vakya ko hamesha yad rakhe
jis tarah duniya me har jagah water lavellniche ja raha he aur sansar me pine ke pani ki matra prati vyakti kam ho rahi he isake liye pani ko sahejane ki jarurat he

pani ka jivan me mahatva

   ye to ham sabhi janate he ki jal ka hamare jivan me kitana mahatva he pine ke pani se lekar nahane , dhone, fasalon ki sinchai ,khet ko pani avam paryavaran ke santulan ke liye jal atyant hi avashyak he isake bina jivan ki kalpana bhi nahi ki ja sakati.


pani bachana kitana jaruri he

    pani ko bachana kitana mahatvapurn he ye is bat se hi samajha ja sakata he ki har desh ki sarkar isake liye kitana prayas kar rahi he ,ngo ,organ organiz milkar bhi is hetu karya kar rahe he parantu is bare me pratyek insan ko sonchane , policy banane aur implement karane ki jarurat he tabhi hum pani ki uplabdhatup sabhi vyaktiyon ke liye sunishchit kar payenge

water ke preservation and optimal uses par Isarail ne mahtvapmahat karya kiya he
Is desh ne registan jaisi banjar jamin par bhi crop priduprodu ko higher level tak le ja ke dikha diya he

Ye bhi padhe
Exam ke dauran tanav mukt kase rahe
Festival of India Holi

jal ke preservation and consumption me is desh ka anusaran kar sakate he


myviiceloud

ek choti si poem 

machali jal ki rani he
 jivan usaka pani he
hath lagao dar jati he 
bahar nikalo mar jati he

Ye poem bachapan me suni thi par aaj bhi utani hi prasangik he kahate he jal hi jivan he jal ke bina jivan ki kalpana bhi nahi ki ja sakati pani ke mahatva ka jitana bhi varnan kiya jaye kam he atah jal ko aane wali pidhi ke liye sahejkar bhi rakhana hoga kyonki aane wale samay me pani ki upalabdhata kam hone wali he isako bhi dhyan me rakhana chahiye  jal hi jivan he 

No comments:

Post a Comment