Search This Blog

Friday, 23 March 2018

Ram navami 2018

Ram navami march 2018 /  shi RAM jan din 



myvoiceloud

Bhagvan ram hindu dharma ka ek pramukh tyohar he sri ram samst hinduon ke sarvamany sarvasammati se pujniya he inaki puja ke vidhan shastron me varnit he tatha upvas ka bhi pure vidhan se jikra kiya gaya he jinaki manyata sarvamany he .

Is sal 2o18 me ram navami 25 march ko he , jo ki navratri ke nove din he .

Ram navami bade hi utsah  va puja archana ke santh manaya jata he
 Isdin log mandiron aadi sthano par bhajan kirtan tatha puja archana karate he
 Aajke din dinbhar upwas rakhate he aur suryasts ke badd bhojan karate he 

Upwas me falahari khir , shrikhand , halwa aadi le sakate he
Subh muhurt dekh kar evam uchit puja vidhi se bhagwan ka pujan kare v punya labh prapt kare


myvoiceloud

Maryada purushottam ram 

Bhagvan ram hindu dharm ke pujniy he inhone maryada ka palan karate hue apane pita raja dashrath ke diye vachan ko nibhane ,pura karane ke liye vanvas dharan kiya tatha 14 varshon tak van me jangal ke kaaton ko rajamahal ke sukh chodakar apanaya ye apane aap me ek misal he isake alawa sada satya bolana ,aajivan ek patni vrat aadi ki maryada me rahakar maryada purushottam kahlaye

Ram navami bhagwan ram ka janmdin ko bharat me hi nahi apitu kai hindu sankratis desh me tatha videshon me base bhartiya bade hi aadar evam shradha se manate he yuva pidhi ko purani prachinatam bhartiy sanskriti ko punah apane gourav aur vaibhav ko vapas lane ke liye apanana hoga tatha vasudhevkutumbakam ki bhavana ko vishwa tak pahuchana hoga tabhi sarvjan ko bharatiy gyan ka parichay ho payega 

Ye padhe



Shriram bhrata laxman tatha mata janaki ke santh bhartiyon ki aatma unke dilon me viraj man he bhagvan ram ne aajivan ek patni vrat evam satya ka palan karate hue maryada ka puri nistha evam aastha se palan kiya isiliye maryada purushottam kahlaye inaka pura jivan ek aadarsh raha he tatha hamesha jab bhi kisi ki bat hoti he to inake adashon satya palan maryada palan tatha ram rajya se hi tulana ki jati he.

Aasha karata hu aapka din mangalmay ho

Happy navratri
Happy Ramnavmi

No comments:

Post a Comment